Powered By Blogger

Saturday, September 25, 2010

Amitabh Bachchan aur Main # 20 se Aage...


Sadar Pranaam,
Babuji ke asamayik nidhan ke saath hi hum sabka bhi aant ho gaya. Ab jo hona tha naya, anjaana, aur darawana hi hona tha, koi taiyaar nahin tha, kisi ne bhi koi mukaam hasil nahin kiya tha, sabhi kum-umar ke anubhawheen aur masoom sirf Babuji par hee nirbhar thhe, Babuji ki jab tabiyat kharab hui thi tab Veena pregnant thi, waisi durdasha ki stithi mein 29,August`1993 ko Mere Doosre bete Kshitiz (-sunny-) ka janam hua. Hum Vellore se nirash laut aaye thhe, doctor ne kaha tha ki unhe ghar, apne parivaar ke beech le jayen taki sabhi unke darshan kar saken, doctor ke kahe mutabik ab Babuji sirf 10 din hee jee sakte thhe, laute samay train mein Babuji mujhe apalak dekhte hue achanak bole  ^^dÃls jgcv y®x\** "...kaise rahaba log?"how will all you live?" ...yeh Babuji ki mujhse kahi aakhiri shabd thhe, ...kitni chinta thi unhe hamaari! ...apni bimari ki dasha se jyada woh iss baat se trast thhe ki unke baad hamaara kya hoga! ...woh jante thhe, ...sabhi ki neeyat aur fitrat ko jante thhe, ...issiliye kyonki waqt rahte woh hame surakshit nahi kar paye thhe (na hi hum self-made well-established thhe), issiliye unhe hamaari fikar thi, ...brain tumer, jo cancerous ho kar la-eelaaz ho gaya tha, ke karan unke sharir ka poora baayan hissa paralise ho gaya tha, sabse jyda khraab baat yeh hui thi ki aakhiri 15 dino mein woh bol bhi nahi sake, ...27,Aug`1993 ko hum wapas aaye, Ranchi railway station par Kamal (Gabudan-Mere Chhote Bhaai) ko dekhte hi woh ajeeb dhang se awaaz nikaal kar chillane-rone lage, ...Lohardaga aane par unki seva-dava ke dauraan hi Veena ko pregnancy ke karan hospital le jana pada tha, ...bachche ko ghar la kar rasme puri karne ke baad uss navjaat baalak ko bimaar, -mrityu-shaiya-  par pade Babuji ke paas aashirwaad ke liye auraten le gayin, babuji ko bachche ke janam ki baat malum thi, woh utthne ki koshish karte hain jinhe hum sahara dete hain, ussi apni dayaneeya awastha mein sirf ek haath se hi babuji ne Sunny ko apni god mein le liya,... aur kuchh hoon...aaan...haan jaise shabdon ke beech bole "-party!"  Unki uss dasha ke bawajood hum muska padte hain, ...Bachha swasth tha lekin jo jaruri ehatiyaten/sawdhaniyan jo baratni chahiye thin woh manage na ho saka, ...fir delivery ke karaan aur Babuji ki chinta mein Veena abhi kaafi kamjor thi, ...bachche ko pneumonia ho gaya ...jiska eelaz kiya gaya, ...aisi hi durawastha mein Babuji ko milne, dekhne muhalle ke sabhi log, unke karmachari-sathi-staff -MALIKAAN aate thhe. Babuji badi besabri se nishchit maut se lad-jhagd kar apne MALIKAAN mein se Uday Babu (Uday Shanker Prasad) se milne ke liye hi jaise zinda thhe, ...Uday Babu shahar mein nahin thhe, ...unke Lohrdaga aane ki khabar hame mili thi aur Babuji ko pata tha ki aaj (4/sept/1993) woh Lohardaga aayenge, ...Uday Babu unki aakhiri ummeed thhe jo hame kisi bhi anisht se bacha sakte thhe, ...aane par Uday Babu ne mujhe agle din bulaya aur sabhi jankari li, bole ki "...chaliye hum aate hain", hum-ne jaise-taise kamre ko vyawasthit kiya jisme Uday Babu apne chhote bhai Sw. Kishore Prasad Sahu ke sath padhare aur Babuji ko dekh kar unse phuhhe ki "...kuchh kahna chahte hain?" ...lekin Babuji ki haalat tab tak bahut kharaab ho chuki thi, woh sirf itna hi bol paye "...Babu!..." aur meri taraf ishara kiya, jise ghar ke logon ne samajh kar Uday Babu se baaten ki,  ...Uday Babu ne babuji ko ashwasan diya ki woh -mujhe- Babuji ki jagah "-naukri-" de denge, aur chale gyae. Agle din (5/sept/1993) Uday Babu ne mujhe bula kar jaruri baaten puchhi aur kahi, tab unke bade bhaia Sw. Shiv Prasad Sahu (Ex-M.P. Ranchi) bhi wahan apne chhote bhai Sw. Kishore Sahu ke saath maujood thhe, meri naukri pakki kar di, aur Shiv Babu ke bade bete Sanjay Sahu se milwaya ki "...ye Tiwari Ji ke ladka hain, Tiwari ji wala kaam karenge." Uday Babu ne mhjhse puchha ki "...kab se kaam par aaiyega?" maine Babuji ki kharab tabiyat ka hawala diya ki unki seva-sushrusha mujhe hi karni padti hai aur dawaiyan bhi Babuji ko main hi khilata hoon, tab unhone mujhe fursat de kar Babuji ki seva mein bhej diya, ...ghar aa kar yeh baat maine Babuji ko batai , sun-ne se pahe woh bade udwigna aur utkantthit dikh rahe thhe, lekin meri baat sun lene ke baad woh shaant se dikhne lage, ...agle din (6/sept./1993) sabere hi main Laal sahab ke paas Masmano chala gaya jo homoeopathy se eelaz ke liye jane jate thhe aur Vellore se aate hi hum jinke sampark mein thhe, ...uss din Laal sahab ne mujhse kaha "...ab kya dava den!?...ab toh haare ko hari naam hi kahiye!" Babuji ji ke liye chintit aur uljhan ke karan -ya- agyanta ke karan baat ka arth main samjh nahin saka, ...Laal sahab ke yahan se aane ke baad maine brush kiya aur nashte ke liye Maa ne awaaz di, ...Babuji ke paas uss waqt Murari Mama thhe, ...maine pahla nivala utthaya ki Murari Mama ki bhayabheet cheekh goonj utthi :
"...Didiyaaaaaa!!!" 
...main nivale ko fenk kar Babuji ke kamre ki or bhagta hoon, ...Babuji ki aankhen tyorayi hui thin, ...gale se gharrrahat ki darawani awazz nikal rahi thi,
...kohraam mach gaya!!
...na jane kaise itni bheed jama ho gayi!, ...mujhe bheed mein Uday Babu dikhte hain!, main unki or aasha aur ummeed ki nazaron se dekhta hoon! '...shayad yeh Babuji ko bacha len!', ...fir daud kar unke dono pair pakad kar khoob rone laga, unhone aur doosre logon ne mujhe yeh kah kar sambhala ki "..aap bade hain kamjor hoiyega toh pure parivaar ko kaun sambhalega!!?" ...Maa, Shashi, Kamal, Mama, Veena, Pushpa sabhi parivaar Babuji ke sharir par ro-ro kar kalapte hue pachhad kha-kha kar gir rahe hain, unse na jane ka nivedan kar rahe hain, Maa duhai de-de kar haath jod rahi hai, "...doctor ko bulao!...doctor ko bulao!" Maa jimmy ko samne kar ke Babuji se bheekh maang rahi hai, "...Jimmy aatankit hai ki kaya ho gaya hai!?" '...Baba!...Baba!' kahte apne nanhe haathon se unhe chhuta hai,  main Babji ki kabhi chhati toh kabhi paano ke taluwon par apne haath se malish karta hoon,  ...achanak fir Babuji ka Badan jor se ayenthaya!, ...unki jihva aur aankhen jaise bahar ko ubal padin!, ....fir jor se tadap kar Babuji ka sharir shithil pad jata hai, ...aankhen Ishwar ki tasweer ki or ghoorti si pathraa jati hain, aur ussi ke saath main bhi patthar sa jadwat ho jata hoon.
...Shashi cheekhta hai :
'...Babujieeee!" 
...tabhi doctor aata hai aur Babuji ki nadi ki jaanch kar ke unhe mrit ghoshit kar deta hai., ghor rudan-krandan ki cheekhen foot padti hain, Dr. Bisu Babu aate hain aur mijhse kahte hain ki "...achha hua, inhone takleef na jheli na tum-logon ko takleef mein dala, issliye ab aage ka kaam sambhalo." 
Antim sanskaar ke baad Babuji ki asthiya le kar Shashi (hamara manjhla bhai, jise Vellore jate waqt 15,August`1993 ko Ranchi Rly. Jn. par Babuji ne aakhiri baar train ki berth par se lete-lete dulaar kiya tha) Varanasi chala gaya. Ghaat se ghar lautne par -jimmy- jo mujhe dhoondhta fir raha tha, usne mujhe pahchana hi nahin! ...kyonki meri munchhen aur mere sar ke baal munde hue thhe!
________________________________________________
 Babuji ke nidhan ke kuchh hi dino baad unke bade bhai -hamare chacha-, -chachere bhai-, aur -bhabhiyon- ne hamse durvyohaar ka ghrinaspad namuna pesh kiya aur gaano ki property ke bantwaare ki baat uus bade chachere bhai ke munh se nikli jiska pura wajood/astitva hi keval Babuji ki hi den tha, Jiska paalan-poshan Babuji ne hi ussi kamre mein rakh kar kiya tha jisme unke pran nikle thhe, aur jiski shiksha yaheen Lohardaga ke B.S. College mein hui thi, ...kuchh saalon ki pareshaniyon ke baad jab hame kisi ki koi madad nahi mili tab majboori mein ek panchyat arrenge hui jisme hame gaano ke ghar se be-ghar hona pada, rah gaye sirf chand bighe zameen. 
________________________________________________________
...mere kano mein Babuji ki awaaz aati hain : 
dÃls jgcv y®x\
.kaise rahaba log?  
how will all you live?
 
eq>s r¨ yxrk gS] ckcwth vÒh Òh fpafrr gSa A
                dk'k ! vferkÒ cPPu tSlk esjk d¨b cM+k Òkà g¨rk !
                                                                   Mujhe toh lagta hai Babuji abhi bhi chintit hain. 
                                                         Kaash ! Amitabh Bachchan jaisa koi mera bada bhai hota !

Superstar of the Millennium

 2000 – Superstar of the Millennium

 Amitabh Bachchan (actor) - crowned as "Superstar of the Millennium"


Amitabh Bachchan named Superstar of the Millennium. http://www.geocities.com/anisharaja/ssawd.html
Retrieved 11 March 2007.



Shrikant Tiwari

Pitripaksh : 2010


24flrEcj]2010
& egky;k @ fir`i{kkjEÒ A
;g 15fnu¨a dk og le; gS ftlesa O;fä vius
firj¨a&iwoZt¨a d¨ fiaMnku ,oa tykatfy }kjk riZu
dj ds viuh J)k lefiZr djrs gSa A
Jhen~iùiqjk.k ls &
firk /keZ% firk LoxZ% firk fg ijea ri% A
firfj  Áhfrekié¢   Áh;Urs   loZnsork% AA &47A9iùiqjk.k
firk /keZ gS] firk LoxZ gS v©j firk gh lo®ZRd`"V riL;k gS A
firk ds çlé g¨ tkusij lEiw.kZ nsork Álé g¨ tkr¢ gSa A
AAÅ¡ Jh fi=` nsosH;¨ ue%AA
&% Roe ikfgeke 'kj.kkxre A%&  
vkid¨ gekjk ç.kke

24/Sept/2010
MAHAALAYA/PITRIPAKSHAARAMBH

YAH 15 DINO KA WOH SAMAY HAI JISME VYAKTI APNE PURWAJON-PITARON KO PIND-DAAN, AUR JALAANJALI DWARA TARPAN KAR KE APNI SHRADDHA SAMARPIT KARTE HAIN.

Shrimad-padm-puran se: 

"pita darmah pita swargah pita hee paramam tapah I
pitari preeti-ma-panne preeyante sarva deavtah II" (- 47/9-padmapuraan)
 

PITA DHARM HAI, PITA SWARG HAI AUR PITA HI SRVOTKRUSHT TAPASYA HAI,
PITA KE PRASANNA HO JANE PAR SAMPOORN DEVTA PRASANNA HO JATE HAIN.
 

"_om-shri-pitri-deve-bhyo-namah_"
 

-: twam-pahimaam sharanagatam :-
 

aapko hamaara pranaam !!
 

 Shrikant Tiwari
Thana Road, Lohardaga.

s
SssssssSSSSSSS