Powered By Blogger

Friday, September 24, 2010

Amitabh Bachchan aur Main # 19 se Aage...

#20
Lohardaga     24 sept. 2010     02:25PM     Thana Toli/Quarter

Hamara desh Hindi-Filmi-Darshakon Ke Liye Bhi Prasiddh Hai. Lekin Dukh Hai Ki yehee Hindi-Kalakaar English ko hi jyda byohaar mein laate hain, yeh ek bidambna hi hai!! 'Aam-Bhartiye-Darshak' jo puri duniya bhar ke cine/film darshakon mein sabse badi jansankhya hai - ne 1985-1990+ tak TV ko optional medium of intertainment  ke taur par puri tarah se swikaar kar liya tha, jo ek ati-awashyak vastu ki sangya se sammanit kiya jane laga. Isse puri tarah se sthapit kiya "RAMAYAN" aur "MAHABHAARAT" jaise TV-serials aur "cricket" ke_'live' telecast  ne!! Bhartiya Darshakon ne waqt ki jaroorat se jyada isse ghar ki jarurat maan liya, aur issi par jyada nirbhar karne lage. Chitrhaar, aur Sunday ko ek Film baki din raat ke 9 baje Serial, fir Sunday ko Ramayan -ya- Mahabhaarat!! Innki lokpriayta ne KhasĂ’aam ko Cinema-theater se [puri tarah nahi toh thoda] door toh kar hi diya tha, upar se bade-bade kalakaron ki pit-ti filmen!! ...Uunh!! Kaun faltu mein waqt aur paisa barbaad kare!! Film achhi hogi toh ghar par video mangwa kar dekh lenge__Yeh ek aam dharrna ban gayi.

Accidents aur Amitabh Bachchan ka choli-daman ka saath maloom hota hai, Apne ghar par deepawali mein patakhe-fuljhadiyon se Deewali manate waqt Amit Ji ka dayan haath (right hand) jal gaya aur Amit Ji ghayal ho gaye. Kai filmon mein Amit Ji usssi jale hue haaath par rumaal -ya- bandage baandh kar acting karte dikhe thhe. Jisme "Inquilaab" ek khaas film thi. Agar aise hi gaur kiya jaye toh aur bhi doosri filmo ki mujhe fir dubaara charcha karni padegi jao ab itna aage aakar likhna vanchhniya nahi maloom hota. Isse agar(!) batana chahen toh Amit BHaia khud hi batyenge!! Iss sansmaran-lekh-mala ko likhne ke liye mere deemaag ki kitni 'mom' pighal gayi hai yeh Main hi janta hoon, waise waqt bhi laga hai, yukti bhi lagi hai, ...par koi notice kare tab na!!
(please notice on the punctuation marks on my whole blog)

'Agnipath' ke baad ummeed thi ki shayad Amit Ji ki filme fir hame vanchhit manoranjan dengi. So hua. Uss samy South ke ek director saheb Mr. K.C. Bokadiya Hindi filmkon mein khoob kaam kar rahe thhe, unhee ki nirdeshit film 
 "Aaj Ka Arjun" 
1990 mein release hui, film mein Amit Ji ke kirdaar ka naam "Bheema" tha, Jaya Prada Ji heroine thin, Sw. Amrish Puri 'khalnayak' thhe, film chali, Lekin koi kirtimaan sthapit nahi kar saki. 

1991 mein release hui
  " -HUM- "  
...ek -'smash hit !'- Amitabh Bachchan Ka Purana maQbool Naam "TIGER" (...as was in Khoon-Paseena 1977), shandaar acting, shandaar performance, shandaar kalakaar, shandaar dialogues, shandaar script, shandaar filmankan... aeyin - '...Balle-Balle, Baija-Baija...!' Jiss-ne sabhi ki galatfahmiyon ko -smash- kar diya ki Amitabh ka jadoo khatm ho chuka hai. "...Jumma-Chumma De De..." gaane ne ek nayi bulandi hasil ki. Amitabh Bachchan puri film hi nahin hum darshakon ke dill par bhi haawi rahe. 
Iss daur mein VHS vcr/vcp Video ka jamana aa gaya tha, log cinema theater na ja kar apne gharon mein hi film dekhne lage. Cinema theater par sirf -faltuwan- ka dal-bal hi dikhne laga tha. Lekin baad mein, jagriti aani thi so aayi. 
By the way/ khair/bharhaal/haan toh main kah raha tha...
'HUM' ke baad fir wohee niraasha ka daur Amit Ji ki filme fir pitne lagin...  Mera khayal hai Amitabh Bachchan unn-mein se hain jo "_HOM -(hawan)- KARTE HAATH JALA LETE HAIN_!" BHaia Ji ne dosti khooooob nibhai, woh chahe Manmohan Desai hon, Prakash Mehra hon -ya- fir- Shashi Kapoor Sahab hon! I am sorry to say, 1991 mein Shashi Kapoor dwara nirdeshit : 
 "-Ajooba-"
flop rahi. Yeh doosri baat hai ki aapne, ya doosre ne iss-se, uss-se badi ummeeden laga rakhi thin!
fir
 "-Indrajeet"-
ka bhi bura haal hua. uff!!! Dhatt!!!
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
Fir baari aai
Last performance of Our Inspector Vijay Verma!
-Akayla-
Iss film mein muje yah bata-te hue garv hota hai ki Amitabh Bachchan ka naam VIJAY VERMA!! -Inspector Vijay Verma- Rakha gaya tha. "Keith Stevenson" naam ke ek dill-chasp videshi mool ke kalakaar ko -villain- ki bhumika di gayi thi, jinka acting, aur -Hindi- bolne ka nirala andaaz bada majedaar tha, innke kirdaar ka naam Anthony Tony Braganza tha, jo ek ajibogareeb psychopathic crimonal hai aur apne humshakal bhai Jojo ki madad se crime kar ke bachta rah-kar Inspector Vijay ke liye challenge, gusse aur baad mein inteqam ki wajah ban jata hai. Amitabh Bachchan ki shandaar acting hee iss film ki jaan hai. Main "Keith Stevenson" ki ek photo insert karta hoon---plz click on his name for more about him...
iss film mein co-stars mein Jackie Shroff, Minakshi Skeshadri thhe jo inspector Vijay ke dost hain jinka -Braganza- murder kar deta hai. Mr. Shashi Kapoor ko fir se Amit Ji ke saath dekh kar khushi hoti hai, jo iss film mein Police Commissioner bane hain, lekin unka mota sharir unke pure ... kya kahun ... par bhari hone se woh jamte nahin, unki Amit Ji ke sath tuning bhi issme thik se nahin dikhai gayi thi. Film average ...near to flop rahi. Iss film mein Amit Ji ki heroine fir -mardana=Amrita Singh thi. 

1992 mein release hui Sw. Mukul S. Aanand, jinhon-ne "HUM" banayi thi, ke dwara nirdeshti film
"_Khuda Gawaah"_  
Film se koi badi kamyabi ki ummeed thi, lekin sabhi ashankit bhi thhe ki isska anzaam bhi kahin bura na ho, par bura hi hua, _film bahut hi atishyoktipurn dang se prastut ki gayi jisske karan aam-aadmi ki samajh mein jyada kuchh aaya toh woh tha sirf action, ...bass. Film ki iss baat se nirasha hui ki Amitabh Bachchan ka maan bhang naho issliye unka kirdaar HINDUSTAN  mein ghode par swar all the way AFGHANISTAN  se aa kar HINDUSTANI police ko sharminda kar pata hai !!! Naaah...!!! yeh kisi surat mein gale utarne wali baat nahin thi, aur isske karan iss film ki kaafi aalochana hui. Baki baaton ki charcha karen toh Amit Ji ki pratibha ke Mere jaise kayal vyakti toh tarif kenge hi na! Lekin Amitabh Bachchan ko iss film ke liye Filmfare Best Actoe Award ka nomination Mere maan lene bhar se toh nhi diya gaya tha na! Amitabh Bachchan ne vastaw mein badi shandaar acting ka namuna pesh kar apni pratibha ke dum par yeh nomination hasil kiya tha, jiske ki woh haQdaar thhe. Film mein Benazir bani Sridevi ke saath unki jodi khoob jami. Haan ji music kamzor tha. Badshah Khan ke roop mein Amit Ji ka look aur getup shandaar tha, Mujhe khoob pasand aaya.
Par film chali nahin.

Iske baad ... AMITABH BACHCHAN gumnaam se ho kar gayab ho gaye.
...jaise sanyaas le liya ho !!!
_____________________________________________________ 

ab meri kahani

MAIN KABHI BRILIYANT STUDENT NAHI RAHA!
1984 se 1988 tak Maine Apne career ke liye jaanmaari karne mein lagaye, Issi duran Patna ke 'Ram Manohar Rai Seminary' School _Khjanchi Road, Patna (1884-1985) Jijajee ke yahan rah kar, -fir- 'Delhi Publick College of Competitions',  _5-B, Pusa Road _New-Delhi (1985) ek hostel mein rah kar -fir- 'Premier Medicacl Coaching Institute'_Khajanchi Road, Patna (1986- punah: Jijajee ke yahan rah kar-1987) mein dakhila le-le kar Pre-Medical-Competitions ki taiyari karne laga, issi duraan Babuji se patrachaar ka mujhe khoob anubhav hua, Babuji harek saptah mujhe chitthi likhte thhe. Main bahar tha tab Babuji mujhe aur Main Babuji ko bahut miss karta thhe.
...1986 ki Deepawali mein Lohardaga mein 'aatishbaji'/patkhe/firecrackers se Mera bhi dahina haath (panja/palm) buri tarah jhulas gaya, aur Main Medical compititive Exam mein nahin baith saka , Meri badkismati. Lekin New-Delhi ki padhai ne mujhme kaafi fark paida kar diya tha jiske karan meri performance mein ek ummeed jagmagane lagi thi, shayad maine Dilli chod kar galati ki!...aur mujhe sachchai ka eshsaas ho gaya tha.

[-ASAFALTA KEVAL YEH SIDDH KARTI HAI KI SAFALATA KE LIYE PURI KOSHISH NAHIN KI GAYI THI ! Kisi bade aadmi ne hi kaha hoga. Shayad JIJAJEE!!!-] 

Maine Lohardaga B.S.College mein B.Sc. mein admission le kar aage ki padhai jari rakhi. Maine apna khud ka vyawasay/business karne ka faisla kiya, lekin kuchh doston ne mana kar diya. 1988 mein Maine Patna ke ek coaching institute 'ACCENT' se English language ko seekhne ki bhi koshish ki, issi coaching institute mein Meri mulakaat Rajeev aur Shashidhar se hui jo Mere pakke dost ban gaye. Rajeev ke bade bahia Ranchi University mein Hindi ke Professor thhe jinka Baryatu mein Quaeter tha. Rajeev ne mujhe B.Sc.Hons. Ranchi se karne ki salah di. Maine Ranchi University mein admission lekar B.Sc Hons. ki padhai jari rakhi. Issi duran 1989 mein Meri shadi ho gayi. Aur Maine apne Sw.Puj. Babuji ke Nav-Nirmit Makaan New Road Lohardaga mein 'VEENA VASTRALAYA' naam se ek retail ready-made kapde ki dukaan khol kar business aur padhai saath-saath karne laga.B.Sc.Hons. ka result pure parivaar mein khshiyan le kar aaya. Business men Mera mann lagne laga, aur 05,JULY`1990 ko Hamare pratham Putra -Pritish- (-jimmy-) ka janam hua. MAIN PAINTING BAHUT ACHHA KAR LETA HOON. Wife hospital mei thi tabhi antcipation mein Maine ek hypothetical child's painting banai..._ must be jimmy_...
...here is the painting...
Kahte hain shaadi hone par Pati ke saath uski Patni ke bhagya bhi jud jata hai, toh aisa hi santaan ke janam lene se bhi toh hona man-na chahiye na! Ab parents ke saaath unke child ka bhgya bhi jud gaya.  

Yeh Mere jeewan ki tab tak ki aakhir khushi thi, shayad issiliye khoob dhoom se manayi gayi.
*****************************************
Lekin prarabdh toh atal hai na! 
THE FATE IS INEVITABLE!!! 
'brain tumer -turned- brain cancer ki wajah se
06,September`1993 ko Mere BABUJI Mar gaye!
Mere Babuji Mar Gaye -Amit Ji-! 
Mere Babuji
Mar Gaye!!





...jari..