Powered By Blogger

Monday, September 20, 2010

AMITABH BACHCHAN AUR MAIN #16 se aage

September 4th, 2010 by Shrikant Tiwari
#17
04,AUG`2010
Lohardaga  / din ke  13:48-PM baje / do-pahar se…
type karna shuru kiya…
sandarbh “Coolie”
…issi samay “COOLIE” release ho kar cinema gharon mein lag bhi gayi thi. Patna ke anek cinema gharon mein “COOLIE” lagi thi, lekin mujhe Jijaji ke taraf se  film dekhne ki izazat nahin thi, isse woh aisa faltu kaam samajhte hain jaise sirf  film/movie/cinema culture ne hi vidyarthiyon ke career ka full kabaada kar ke rakh diya ho, aaz bhi mauka milne par woh Bhartiye ho ya videshi, filmo ko kosna nahi bhule hain, bass unse koi poochh bhar toh le !  Issliye main basss… hasrat bhari nazron se “COOLIE” ke posters ko sadko ke kinare ki deewaron par, oonche hordings par dekh kar film ki kahani “kaisi hogi? …film achhi bani bhi hai ki nahi? …sochta jata tha. Coaching center mein bhi main kisi se jyada baaten nahin karta tha. Fir bhi logon mein “Coolie” film ki jaisi be-sabri/aur bechaini se pratikaha thi, untni hi jyada uski kahani aur Amitabh Bachchan ki baaten hoti thin. Sabse badi baat yeh hoti suni gayi ki film mein “uss accidental seen” ko freeze karke/rok kar, caption/soochna/notes ke saath khaas Amitabh Bachchan ke fans ke liye dikhaya gaya hai. Film se jyada issi baat ne muje “COOLIE” dekhne ke liye byagra kar diya. Lekin Main “Coolie” nahin dekh saka.
Iss beech 1983 mein Amit Ji ki aur doosri filmen jo “Coolie” ke aage-peechhe ya sath-sath bann rahin thin, woh sab bhi release ho kar cinema gharon mein chal rahi thin.
1983 mein Amit ji ki release hui mukhya filme thi : “Nastik”, “Andha Kanoon”, “Mhaan”, “Pukaar”, aur “Coolie”.


Iss list ki kisi bhi film ko Main tarteebwar/kramm se nahin dekh paya. Jise bhi dekha jab awsar mila tab hi dekh paaya. Lekin “Coolie” film ke itne charche sun kar Didi bhi dekhne ko utsuk thi, jiska Mine fayda uthya aur Jijaji ke upeksha aur narazgi ke bawajood Jijaji ke bank [UBI/Stn. Rd. Branch, Patna] ke peechhe ‘Veena cinema’ mein, hamne “Coolie” dekhi. Amitabh Bachchan abhinit , Sw. Manmohan Desai dwara nirdeshit 1983 ki sabse jyada charchit film “Coolie” -1984 ke February mein dekh saka.
“Coolie” film mujhe jara bhi achchi nahi lagi.
Jis fight seen mien Amit Ji ko chot lagi thi woh seen aaya, ruka, paar ho gaya….us-se Amit Ji ko jo pyar, sneh aur sad-bhawna milni thi woh unhe awashya mili, lekin film ki takdeer  mein jo hona tha woh hua. Apni koshish mein Amit ji ne koi kotahi ki ho iska toh sawal hi paida nahin hota, lekin film ki kahani, aur doosre actor/actresses ke role aur script ki kamzori ko woh foonk mar kar toh kadapi nahin sudhar sakte thhe.  Amitabh bachchan ka famous filmy naam “Vijay” ab sunai hi nahi deta tha,  “Shakti” film ke baad aaz tak fir kabhi bhi mujhe mere favourate “Vijay” se mulakaat nahi hui. “Coolie” ki durghatna ke karan film ki script mein her-fer kar ke aant mein Amit ji ke coolie ke kirdaar Iqbaal ko toh zinda dikhya gaya lekin mere “Vijay” ki jaise asmayik/aakaal maut ho chuki thi. Main meri soch, mere khayalaat, mere vichaar aur mera astitwa jaise akayla-tanha, shayad be’yaro-madadgaar ussi Vijay tak hi thahar sa gaya. Mere “Vijay” ki Vijay-yatra jaise samapt ho chuki thi.
*********************************************************
Jab Ranchi aaya toh Sujata cinema mein “Mahaan “film dekhne ka mauka mila, film se badi mayisi hui. Patna mein hi jab ek din ke liye Didi-Jijaji apne gaano gaye thhe toh Main, Mahindar Bahia unke chachere bhaai Satyendar bhaia aur unke ek mitr ke saath Patna ke [uss waqt chalu] ‘Vaishali cinema’ mine humne “Pukaar” film dekhi, cinema ghar khali-kkali tha chand log hi hall mein maujood thhe, film kisi ka manoranjan nahin kar saki. Mere samne mere Shri_Big`B ki aalochna ho rahi thi, koi kya, sabhi ulta-sulta bol rahe thhe “… abb amitabbhaa ke din gelau iyaar…!” Mera mann inn baaton se bahut dukhi ho jaya karta tha. Mujhe aisa lagta tha ki sabka samay, sab din ek jaisa nahi rahta.
Lekin Amitabh Bachchan ki bulandiyon tak tab bhi unhe aur unke stardum ko takkar dene wala koi doosra film abhineta nahin tha. Jiska suboot tthode hi waqt ke baad mil hi gaya.
1984 ki garmiyon mein mere swargwasi chachere bade bahia ke bade bete ki shaadi hamare gaano se hone wali thi jismein shamil hone ke liye Lohardaga aane par main uss samay apne sabse pyare dost BANDE ko apne saath apne gaano leta aaya tha. Uss shadu mein Mera bhanja Sushil bhi sa-parivaar aaya tha. Shaadi ka saaman kharidne manjhle chachere bhaia log Patna ja rahe thhe, Babuji jo taxi lekar gaye thhe woh hi unhe Patna le ja rhi thi jismein main Sushil aur BANDE bhi saath ho liye ye kah kar ki Patna shahar mera dekha hua hai Main kaam aaunga. Kaam kya aana tha, hmein toh masti karni thi, jo hamne ki. Patna ke Exhibition Road par ‘Channakya Cinema’ mein Maine BANDE aur Sushil ke sath film dekhne ki yojna banayi. Patna mein cinema ke ticket ke liye badi lambi kataar subah se hi lag jaya karti thi, koi bhi movie ho, ticket aasani se leni ho toh black mein hi lena padta tha. Fir bhi BANDE jo body-builder tha usne kataar mein lag kar dhakka-dhukki sah kar ticket hasil kiya fir hamne Amitabh Bachchan ke Guest Aappearance wali 1983 ki blockbuster Super-Duper hit Rajnikath ki pahli Hindi film **”ANDHA KANOON”** dekhi. He Bhagwaan…! Kya moment tha. Oh ! Baba re Baba ! Guest appearence mein hi sahi par Amitaabh Bachchan ke liye hi bheed thi!!! Aur Amitabh Bachchan ke Shandaar performance ke karann hi film ka naam Aur usmein unka kaam aaj bhi har-ek Amitabh-fan ko bakhoobi yaad hai. Hema ji uss film mein Rajnikanth ki bahan, ek police inspector ki bhumika mein thin, jo apne “inspecteor-giri” ke chakkar mein gundon se ghir kar lachaar ho jatin hain ki Mere Shri_Big`B >’sabke sankat-mochan’ ki entry hoti hai. Oh ! kya hungamma tha re baap! Intna hulla ! Inte jor ki harsh-dhwani hui …jaise Mera_Vijay fir zinda ho gaya ho…! Uske baad puri film mein Amitabh bachchan ka kirdaar Rajnikanth ke parallel hi chalta hai. Climax mein Dharm Pa Ji ke sukhad ashcharya ki tarah[- "..arre ! mera bumpper tod diya..."-] entry ke saath adalat mein Rajnikanth ki jeet par pyari khubsoorat muskaan bikherte taali bajate Amit Ji … Rajikanth se gale milte hain. Aisa meri yadasht mein yeh pahla udahran hai jo ek guest appearence cast ko lead appearence cast se jyada prashansa mili ho. Iss film mein Amitabh Bachchan dwara nibhaye gaye role ke liye Filmfare Best Supporting Actor Award ka nomination mila. Ye koi kam badi baat nahin!
*****************************************
Vijay hi kyon ?
Film Zanjeer se Shakti tak jin-jin filmon mein Amit ji ka naam Vijay raha unmein se adhikansh fimen Super-Hit rahi, khoob bura hua toh bhi Amitabh Bachchan ke karan darshako ko paisa-wasool performence ka maza mila. Inn-mein se koi ek film mujhe bata dijiye jiski prashansa na hui ho aur jo buri tarah FLOPP! ho gayi ho!
Nahin bata payenge.
Kaise?
Main madad karne ki koshish kata hoon_
1. 1973  Zanjeer: Inspector Vijay Khanna  [!/?]
2. 1974 Roti-Kapda aur Makaan : Vijay  [!/?]
3. 1975  DeewaarVijay Verma [!/?]
4.  1975 Sholay : vijay na sahi milta julta naam : Jay/Jay Dev [!/?]
5. 1976 Hera-Feri: Vijay [!/?]
6. 1978  Trishool : Vijay Kumar [!/?]
7. 1978 DON : Don/Vijay [!/?]
8. 1979 The great Gambler : Jay/ Vijay [!/?]
9. 1979 Kaala Patthar : Vijay Pal Singh [!/?]
10.  1980  Do aur Do paanch : Vijay [!/?]
11. 1980 Shaan : Vijay Kumar [!/?]
12.  1982  Shakti : Vijay Kumar [!/?]
aur
13. 1990  Agnipath : Vijay Dinanath Chauhan {_pura naam!} WinnerNational Film Award for Best Actor [!/?]
Ab Kya faisla hai aapka?
!=Haan.  ya  ?=Naah
Inn sabhi mein se kaun sa “Vijay” mujhe sabse jyada pasand hai…!?
…agar koi mujhse puchhega to main nih:shankoch “Deewaar” ke Vijay ko chununga,[{(-2nd position par Trishool ke Vijay ko rakhunga)}]- kyon ki yeh mujhe hamare apne jaisa lagta hai,  sabse badi baat yeh hai ki iss kirdaar ke baad Amitabh Bachchan _“VIJAY”_ ko naya avtaar de kar pakka sthapit kar dete hain, mujhe iss baat se koi sarokaar nahin ki yeh kisi haji-peer ya koi mastan-sultan par based hai, mujhe iss-se bass issiliye lagao hai ki yeh garibon ke aam aadmi ke beech ka hai, aajkal ban rahi filmon mein Amit Ji ke larger than life “Ati-Dhanad’dhya Maha-Mahimamaya Vyaktitwa” ki tarah nahi balki unheen gareebon ki tarah unheen ke beech ka apna Vijay! Jo haar maan kar haalaat se samjhaota kar ke mar-mar kar jeena nahin chahta, woh sahukaar-[Dabar_Mulk Raj Dhabaria{Iftekhaar}]- ke fenke hue paise nahi uthata, woh na zulm karta hai na zulm sahta hai, woh apni maa ko roz I love you! nahi kahta, lekin woh building kharid kar maa ko gift mein deta hai, jahan uski maa ne vashon pahle wahan ussi banti building mein majdoori ki thi, Maa se pyar ka dikhawa nahi karta, usski pooja ka prasaad nahin khata, Maa chhod kar chali jaati hai fir bhi uski jaan ke badle apni jaan dene ke liye dushmano aur police ka kauf na kha kar mandir mein Bhagwaan ke samne khud ko usske hawale kar deta hai. Yeh Vijay ki sabse badi Vijay hai. Apne chhote bhaai ke saath mulakaat main jab woh usske aadarson par jhunjhulata hai “…aaz mere paas bungla hai, gadi hai, bank balance hai _kya hai tumhare pass?” toh bhaai {Shashi Kapoor Sahab} kahta hai “mere paas Maa hai !” Iss prasiddh dialoge seen mein Amitabh Bachchan{Vijay} na hote toh kya iski woh dhoom machti jo aaz tak logon ke dilon-dimaag par chhayi hui hai? Aur wo godaam/godown/warehouse wala film ka eklauta fight seen ! Anokha ! Majdooron se jabran haftha khane-wasoolne wale, Madan Puri [Samant] ke gundon se Vijay akayele lad padta hai. Iss fight seen mein yeh important nahin ki Vijay ne kitne ghunse maare! ya khud maar khhai_balki khoobi iske presentation mein hai : Vijay gundon ke beech unke leader Peter{mujhe iss charechter ka asli naam yaad nahin, yeh shakhsh Manoj Kumar Ji ki sabhi filmo mein dikhta hai}-ki maujudagi mein godaam mein ghus kar bheetar se gate lock kar deta hai aur chaabi Peter ki or uchhal deta hai, yeh kah kar ki woh(Vijay)khud uski jeb se chaabi nikaal kar darwaaja kholkar bahar niklega, fir Vijay unse akayela lad padta hai…!…haar maan kar Peter chaabi Vijay ko saupna chahta hai, lekin Vijay chaabi uske haath se leta nahin, balki usse uski jeb mein wapas rakhne ko kahta hai,
 ...fir usse peet-ta hai aur usse nidhaal kar ke uski jeb se chaabi nikaal kar khud darwaaja kholta hai aur ladkhadate hue bahar nikal aata hai, majdoor bhaiyon mein harsh-dhwani hoti hai, aur darshakon mein ullaas-utssaah ki lahar daud padti hai jo nkali nahi mani ja skti. Khaas baat issme yeh thi ki Vijay ne issme himmat aur atmvishwaas ki jeet ka jo jhanda buland kiya woh be-misaal hai. Yeh kahte garv hota hai ki itne sare karname Mere Shri_Bib`B Amitabh Bachchan ne hi kiye hain. Issi film aur Amitabh Bachchan ke yogdaan se billa number 786 jagat-prasiddh hua aur aam Hindustani sabhi logon ne isse saraha, apnaya. Main yeh Vijay-ghosh fir karunga :
Amitabh bachchan Ji!
Twam -he- Vujay!
it.s a challenge!
now my Vijay is no more with me
fir bhi AMITABH BACHCHAN AUR MAIN…
…jari…
00:25AM
good night Vijay!