Powered By Blogger

Monday, September 20, 2010

Surendra Mohan Pathak_ Lekhak! Jinka Main Pathak!

September 14th, 2010 by Shrikant Tiwari

Pathak Ji
SURENDRA MOHAN PATHAK
Post Box No. : 9426              _Delhi - 110051       _India
Shri Pathak Ji
Sadar Pranam,
Aasha hai aap swasth yewam prasannachit  honge. Shayad aapko meri/mere naam ka smaran hoga. Aap pratyek varsh mujhe “New-Year” par apna Greetings bhejte hain, issliye himmat kar ke aapko kafi lambe antaraal ke baad aapse sampark kar raha hoon, iss pratyasha ke sath ki mujhe aap apni shubhkamnaon ke sath patrottar bhejenge.
Kal jee mein aaya ki Internet par aapko dhundha jaye…, aapka naam click karte hi dher sare links khul gaye, “wikipedia” par aapki upasthiti pa kar mujhe bahut garv hua, ki yeh hain woh jinhe main ‘padhta’ hoon, aur jo mujhe apni shubhkamnayen bhejte hain. Internet par aapse sambandhit aneko samagriyon mein : pictures, images, videos beshumaar thhe, Jinhe maine bahut sabra se dekha. Sabra/Dheeraj se issliye ki mere paas bahut heee slow-speed Internet Modem hai, atah: video file ne kaafi samay le liya, lekin kisi jonoon ke hawale maine aapke 2-3 video files(YouTube) dekhe. Aapki awaaz suni, aapko aapke fans ke saath batiyate aur “Pulp-fiction” par aapke interview ko dekha. Aap mere saath vigat 11-varshon se nirantar (Greeting-Cards dwara) sampark mein hain. Mere chhote bhaai ki Shaadi ka Nimantrann Card Maine aapko bheja tha, jiske jabab mein 07, May`2003 ko lagbhag 4PM baje aapne phone ( -uss waqt uplabdh Land-Line, jiski wahiyat sevice se tang aa kar katwa diya-) call kar ke mujhse baaten ki aur Var-Vadhu ko apna aasheesh diya tha,  jise main kaya hamara pura parivaar aapki krupa samajh kar hamesha yaad rakhega. Main iss patra mein Internet ke kuchh mere E.mail address aur blog ka address likh kar de raha hoon. Ummeed karta hoon aap inke dwara bhi mujhe apne aur kareeb bula kar upkrut karne ki krupa karenge.
1. E.mail : sribigb@yahoo.co.in,  -&-  sribigb@hotmail.co.uk
2. facebook : search:> Shrikant Tiwari
4. Mobile : 9431166016
Aapkae pichhle upannyas “TEESRA VAAR” (Thriller/Vivek Aagashe) ke baad koi agla parakashit upannyas, khed hai, Main nahin padh paya hoon. Wajah yahi hai ki Main jis shahar mein rahta hoon yahan ke Newspaper/Magazines sellers (-2-Bhaai - dono! …. -) “ab” (8-10 varshon se) novels nahin bechte. Majbooran mujhe aise mauke ka intezaar rahta hai ki kab Ranchi jane ka awsar mile. Ranchi railway station par hawkers/wheelers ke paas aapke likhit upannyas sahaj hi mil jate hain. Hamre Lohardaga shahar se Ranchi ke liye train chalti hai. Filhaal bus ke alawe 4-5 varshon se railway ko hee log/traveller/vijitors istemal karte hain, jo bus ke mukable 5-guna jyada sasta hai. Aapse vinamra nivedan hai : krupya “Teesra Vaar” ke baad ki  aapki ptakashit 2010 ke sabhi upannyson ki list mujhe likh kar patrottar dwara dene ki krupa karen.
Apse kuchh apne mann ke vichaar/udgaar vyakt kar ke aapki pratikryia aur aapka nazaria jan-na chahta hoon. Isse mera nivedan samajh kar uttar dene ki krupa karen : N.D.T.V.-India par ek samwad-data Shri Raveesh Ji ka karya-kram “Raveesh ki Report” ke ek prasaran mein- jo ‘Spoken-English Coaching Institutes’ par dikhya gaya tha-,usme ek add-board [prachaar Poster] dikha, jis par likha tha : “Angreji Sherni Ka Doodh Hai, Jo Piyega Woh Dahadega__ Baba Saheb Aambedkar! Ab itne bade aadmi ki baat kachchi toh nahin hogi na! Iss-se prerit ho kar kitne log ‘Angreji ka Doodh’ pee rahe hain yeh toh mujhe nahin maloom, lekin Angreji na jan-ne wale mujh jaise logon ko chhotepan ka ehsaas jaroor karati hai. Aap kya sochte Hain?
Hindi divas aaya aur mujhe yeh ehsaas karaa gaya ki Hindi ko - &-  “HINDI _”DEVNAGARI” mein hee likhna ya type karna chahiye na ki Roman mein, jaise S.M.S. adhikaansh log yun Roman type hee karte hain. Meri viwashta yeh hai ki mujhe Engish key-board par Hindi(Devanagari) type karna nahin aata. Kintu apne vicharon aur baaton ko abhivyakt bhi karna hai. Issiliye aisi awastha mein, _ jabki mujhe aapki ya anya logon ki tarah English bikul nahin aati, _  majbooran mujhe English(Roman) key-board par anguliyan tthokni padti hain, _ jaan-boojh kar nahin. Fir bhi main aapse aur anya vdwa-jano se kshamaprarthi hoon.
Uparokt sabhi lines Maine pahle Devanagari(Hindi) mein hi symbole keys ke sahare type kiya tha, par jab blog par post karta hoon toh pata nahi kya -’anaap-shanaap’- prakat gaya.{shayad software installation ka problem hai}. Sara din uparokt panktiyon ko type karne mein, [jo maine symbol-keys-(-DEAVANAGARI-) ke sahare ek-ek akshar mushkil se dhoondh kar type kiya tha], sabere ke 10AM baje se sham ke 4PM baj gaye. Fir se saare text ko English-[Roman]-Letters ki sahayata se type karne ko viwash ho gaya. Inn lanes/panktiyon ko  …Shayad isse “HINGLISH” kah kar English ke jankaar log mazak udate hain lekin woh-hi isse prachalit karne ke bhi jimmewaar hain. Kai DASHAK beet gaye Hindi Filmo ke naam ENGLISH mein hee publish kiye ja rahe hain, sirf NAAM!,,,bass uske baad cating, titles aur baki ke details ENGLISH mein hee dikaye jate hain, kuchh apvaadon ko chhod dijiye toh HINDI mein titles kisi film mein nahin dikhenge. Aur ‘ashikshit-log’ bhi iss prakaar ke posters par English mein chhape naamo ko badi aasani se padh lete hain, kya ye Hindi ke saath dhokha nahin?
Aapse main ek mashwara chahta hoon : “Blog kaya hai? Aur issska prayog kis parakaar ke ‘ -lekhan-’ ke liye karna upayukt hoga? Maine blog toh create kar liya hai, agar aapne iss blog ko dekha ya padhne ki krupa/koshish ki to aap sahaj hi yeh bata payenge ki main thik kar raha hoon ya galat. Mujhe apna samajh kar mera margdarshan karne ki krupa karen.
Maine ‘facebook’ par aapko apna “pen-frind” likhne ki jo dhrishtata ki hai, agar aapko woh nagawaar ho toh mujhe suchit kar denge, taki main usmein munasib sudhaar kar sakun ya fir delete hee kar dunga.
Main bahut mamuli aadmi hoon sahab ! Aapki bulandiyon ko mere wajah se kaya risk ho sakta hai bhala !
Aapke patrottar ki [-byagr-] pratasha mein :
_Aapka,
Shrikant Tiwari
Thana Road,
Lohardaga(JHARKHAND)
PIn: 835302
___________________________________________
the hand written letter in HINDI will be posted to Sri Surendra Mohan Pathak Ji via ‘Indian Speed-Post Services.
____________________________________________
WhOops !
I could not post the hand written -HINDI- letter via ’speed-post’ to S.M.Pathak Ji. Because the post office let me know that the speed-post don’t deliver on PO-box number. So, I bacame compelled to dropped the letter into the red box of the post office with a postage stump by general post. Hope Sri Pathak Ji must get it and hopefully, he will reply me.
*************************************************************