Powered By Blogger

Monday, September 20, 2010

Amitabh Bachchan aur Main #18 se Aage

September 10th, 2010 by Shrikant Tiwari
#19
10,September`2010          Lohardaga          19:25PM
…18, May`1989 ko meri shadi hui.
sk_creations_600
Main hardik ichha hote hue chaah kar ke bhi Patni ko Amitabh Bachchan ki koi nayi super hit film nahin dikha saka. Lekin swabhaav-vash Amit Ji ki Amit-Yaadon se main sada hara-bhara rahta tha, mere figure aur rahan-sahan, rakh-rakhao aur aadaton ke karan mere sasuraal mein mere parichay mein Amit Ji ki achhi-khasi maujudagi hamesha rahi hai. Ghar ke sabhi log jante hain ki Amit Ji mere liye Ishwar-tulya hain. Issi karan Amit Ji ki tat-kaleen awastha se sabhi awgat thhe aur unke liye chintit se ho kar unki baaten karte thhe. Sabhi unke pahle ke 12-15 filmon mein hi unhe pasand karte thhe. Aaz bhi bilkul aisi hi stithi hai. Sabhi log Unke Zanjeer -se- Shakti tak ki filmo ko hi fir se dekhna chahta hai. Iss beech Amit Ji ki koi nayi film release nahin hui, lekin kai doosri filmo mein unki guest appearence thi, kai mein unki awaaz thi. Har koi dill se Amit ji ki kam-se-kam ek aisi film ki ichha rakhta tha jo sabhi aalochakon ka munh band kar de…
Yeh murad puri hui 10,March`1990 ko release hui “AGNEEPATH” se! 
 Amitabh Bachchan-jaise Ishwar ne meri pukaar sun li ho- fir ek baar hamare samne  *Vijay* _” Vijay Dinanath Chauhan”_pura naam! ke roop mein prakat hue aur jan-manas pr chha gaye. Iss film se pahle maha-folop-film=>Ganga-Jamuna-Saraswati mein Mithun Chakraborty ke hone par bhi koi kamaal nahin hua tha, Iss film mein bhi Mithun Chakraborty ki bhumika as Krishnan Iyer M.A. ki thi jiska jadoo hum par nahi chla, apni jagah Mithun Da bhi koi kam famous nahin hain. Yeh apun ke choice ka mamla hai ki :- mujhe iss kirdaar Krishnan Iyer M.A. ki maujidagi koi naya romanch nahi de saki, yeh alag baat hai ki Filmfare best Supporting Actor/Male ka Award Mithun Chakraborty ko mila.  Iss saal ka mere liye sabse bada news tha :-
Awrds
Won: National Film Awards for Best Actor -Amitabh Bachchan
Nominated: Fimfare Best Actor Award -Amitabh Bachchan
Yahan meri manyata ne satya ka roop le liya aur meri baat ki laaz rahi ki jab-jab Amitabh Bachchan kisi film mein  apne kirdaar ka naam “Vijay” dharan karte hain toh woh film awashya hit hoti hai!
Main khush ho gaya. Yeh soch kar ki abhi hame Amit Ji ke saath mil kar bahut Chand- Suraj dekhne hain. Aur aane wala waqt sirf aur sirf Amitabh Bachchan ki vijay ka hoga.
Mere Vijay ki vijay-yatra jari rahegi.
…jari…