Powered By Blogger

Monday, September 20, 2010

Eid+Teej

September 11th, 2010 by Shrikant Tiwari
Sept 11, 2010           Lohardaga           sat :13PM dopahar
…thana toli masjid par se azaan ki awaaz aa rahi hai, aaz Eid hai. Sahar mein mahine bhar ke roze-namaaz ke baad aaz Eid ka tyohaar manaya ja raha hai, log gale mil kar ek-dusre ko mubarakwaad de rahe hain, eitr ki khushboo faili hui hai, log ek-dusre ko apne yahan sewai khane ke liye amantrit kar rahe hain.
Abhi thodi der pahle mere internet ka ballance khatm ho jane ke karan connection toot gaya, recharge karwane bazaar jana pada. Sadk par shanti thi. Adhikansh dukane band dikhin.
Azz teej ka tyohaar bhi hai. Sabhi staff apne ghar par ho rahi teej pooja ki charcha kar rahe thhe. Suhagan auraten vrat rakh kar pati ki pooja karti hain. Kal shaam se hi auraton ko bazaar se kharidari karte dekha ja raha hai. Yahan mere Murari mama ke yahan dono mamiyan teej ki pooja ka upwaas rakhe hue hain, Virendar ki wife ka abhi phone aaya tha woh Maa aur Veena se baat kar ke pooja ke vidhi-vidhan ki charcha kar rahi hain, …lekin Maa ne bataya ki hamare yahan teej nahin manai jatai_ hamare khandaan mein teej manane ki parampara nahin hai, _kyon? Maa nahin batati, sirf itna kahti hai ki unhone apne vivaah ke baad appni jethani -chachi- ko bhi kabhi teej manate nahin dekha hai… baki Ram jane_. Mujhse poochne par toh turant haami bhar dunga, lekin Veena kahti hai ki jab yun-hi 20-saal gujaar diye toh ab kyon nayi parampara ki buniyaad dali jaye, kya pata iske peeche kisi anishtkarak-durghatna ki khahani ho jo hum-par chadhai kar de…! Kya yeh yukti sangat baat lagta hai? …Main iss bahas mein na pad kar Eid ki sewai aur teej ke prasaad par dhyan rakhna chahunga. Pahle Sw.Puj.Babuji Maa se pedakiya aur thekua banwaya karte thhe, lekin ab koi khata hi nahi_, tyohaar bhi ghar pe nahin manti issliye pedakiya ka ban-na kab-ka band ho chuka hai. Jan-pehchan ke log, mitr, rishtedaaron ke yahan se hi itna aa jata hai ki khate-khate haat-munh dukhne lagta hai. Issliye abhi pedakiya ka intejaar hai.
Hamari hindi filmo mein ‘karwa-chauth’ ke vrat ki badi mahima gayi jati hai. Teej bilkul us-se milta-julta patniyon ka pawan tyohaar hai jo wye apne pati ki lambi umar ke liye manati hain. Aaj suhagane nayi dulahan ki tarah apna saj-shringaar kati hain. Teej ki pooja mein shayad pandit ji ka kahin koi role nahin hota _ ki ..hota hai?_ pata nahin!
Fir bhi iss blog ko padhne walon ko Eid ki mubarakwaad aur sabhi suhagano ke liye unki Teej-pooja Ishwar swikaar karen ye prarthana hai.

Shrikant Tiwari