Powered By Blogger

Monday, September 20, 2010

Amitabh Bachchan aur Main #17 se Aage

September 10th, 2010 by Shrikant Tiwari
#18
09,Sreptember`2010     -Lohardaga-      21:20PM
…”Coolie” se hi Amit Ji ki heroine/nayika ki jodi gadbad hone lagi. “Coolie” ke baad se hi Amit Ji ka ‘Name-Fame’ kamzor hone laga…, shayad Manmohan Desai Sahab [...jaise kisi junoon ke hawale!] lagataar nayi/doosri heroines ke saath Amit Ji ki jodi banane ke naye-naye parayog-par-prayog karte chale ja rahe thhe…,
Lekin 1984 mein release hui “Inquilaab” mein Sridevi ke sath Amit Ji ki jodi achhi lagi. inquilaab-1984
Film Hit hui. Jaise varsho se sookhe zameen par barish ki tazi fuhaar padi ho. Iss-mein Amit Ji ka naam ‘Amarnath’ tha. Amit ji se aise hi sadhe hue film ki apeksha thi, so puri hui. Ab Amitabh Bachchan mujhe thode jyda bade lagne lage, matlab ab main unke tatkaleen kirdaron mein khud ko ya khud mein iss Amitabh Bachchan ko atmasaat karne mein dikkat mahsoos karne laga. Mujhe Amitabh Bachchan mein ab apni ya khud mein Amitabh Bachchan ki kalpana mushkil lagne lagi…

…sorry ! …”Parvarish”dekh raha tha, baki kal…

10,September`2010      Lohardaga 09:06AM
1984 ki Amitabh Bachchan ki doosri : “Prakash Mehra”_ nirdeshit film
SHARAABI
SHARAABI
“Sharaabi” release hui jis-mein Jaya Prada Ji pahli baar Amitabh Bachchan ki heorine ke roop mein thin. Yeh ek shandaar super film hit rahi. Geet-sangeet”mujhe navlakha manga de re…, log kahte hai main sharaabi hoon”, “…de-de pyar de…”, etc., acting, story, dialogues sabhi ko maine enjoy kiya, comedy wale kuchh prasang khoob pasand aaye, “…munchhe ho toh Natthulaal Ji jasi hon varna na hon!”, lekin mujhe kuchh khatak sa raha tha. Prakash mehra + Amitabh Bachchan = Complete entertainment mein woh baat nahin thi jo iss mashhoor jodi se apekshit thi. 42 varshiya Amitabh _18 varshiya mujhe _mujh-se bahoot alag, door...hue...jate lage, kuchh dil dukhane wali baat thi… jo abhivyakti se pare hai.
Ab saal-do-saal mein Amitabh Bachchan ki kewal ek-do filmen hi release hoti thin. Issi dheemi raftaar ke beech release hui

GERAFTAAR
“Geraftaar” jis-mein Amit Ji ke saath pahli baar Kamal Hasan thhe aur mehmaan jaise lekin dumdaar role mein fir ek baar Rajnikanth bhi thhe. Film mein Amitabh Bachchan chhaye hue thhe -ye nahi kaha ja sakta, na hi koi visheshta thi, haan Amit Ji apne darshakon ka achha manoranjan kar paye ye hi bahut tha. Kahani mien koi khaasiyat nahin thi, Amitabh Bachchan ke prashanshak [-jo ki sa-garv main deewanwaar hoon-] unse Vijay ke se swaroop-matr ki hi apeksha rakhta tha …basss… kisi tarah samjhauta kar ke rah jate hain.
“Coolie” ki durghatna se thik hone ke baad bhi Amitabh Bachchan kabhi purn-swasth nahi rahe, unke swasthya mein girawat aati-jati rahi. Ek “ impossibe to pronounce” naam wale bimari ne unhe jyada trast aur aswasth kar diya, uss bimari ka naam : myasthenia gravis tha.
Myasthenia Gravis se kaafi ladai lad kar Amitabh Bachchan ne uss rog/bimari par VIJAY pa toh liya lekin uske baad ka din hai aur aaz ka din (Amit Ji, joshile, diler aur janbaaz kitne bhi hon par hain toh ek insani sharir hi na!) woh kabhi purn-swasth nahi rahe. Kuchh pabandiyan, kuchh parhej aur nitya dawaiyon ke saath doctors unke sada ke saathi ban gaye.
Zanjeer Se le kar Shakti tak VIJAY ka kirdaar nibhane wale Mere Shri_Big`B Amitabh Bachchan ke ab darshan durlabh ho gaye.
***********************
31`OCTOBER…1984…kayamat ka din !
Pradhan Mantri Shrimati Indeera Gandhi Ji ki jaghnya Hatya se sirf bharat hi nahin balki puri duniya dahal utthi. Bharat desh mein zarre-zarre par khauf-aatank-dange-fasaad-maar-kaat mach gayi. Desh ke liye yeh sankat ki ghadi thi.

Iss waqt samvedana ki jo lahar desh mein ufaan par thi us-ke prabhav ne Amit Ji ko Rajneeti mein aane ko badhya kiya, aur Amitabh bachchan member parliment ka election jeet ka ek tarah se film sansaar se aur mujhse door chale gaye. Lekin iss lekh-mala mein rajneeti vishay nahin hai aur na hi mujhe rajneeti pasand hai, yeh mera kaam bhi nahin haan itna manjoor karunga ki  iss vishay mein Amit Ji ke uss waqt ke faisle se mujhe afsos hua tha, ki ab khatam!...kya?
…par woh aaye Lekin …
*****************************
1985 ki February mein Main New-delhi 5-B Poosa Road, Delhi Public College of Competitions mein admission le kar padhne chala gaya, fir Amitabh Bachchan aur filmon se ek tarah se jaise mera nata toot gaya. Ek baar footpaath par news paper mein dekha_ ‘news tha: _"Allahabaad-(U.P.) M.P(member of parliament) gayab! police mein gumshudgi ki report darz!"
******************************
1986 - 1987 - 1988 - 1989 - 1990 - 1991 - 1992
Filmon se jab dubaara milan hua toh… jaise Amit Ji ke filmi career ko kisi ki buri nazar lag gayi ho !
“MARD”
…pata nahin Manmohan Desai _Amitabh Bachchan ko kya banana chate thhe!?…ek 'aam-aadmi' jo majdoor hai lekin usmein ‘Super-Man’ jaisi khasiyaten aur shaktiyan hain! “…Mard ko Dard nahi hota…!” lekin Amit Ji par balihaar jane wale mujh jaise darshak ko Amit Ji ki alochna se (dard) hota hai!  Jee nahin ! Film mujhe achhi nahin lagi, aur Mard ki mardana chehre wali Amrita singh _Amit Ji ki heroine ke roop mein bilkul suit nahin karti, Amitabh bachchan ko fir se padre bana kar yeh dialogue kahlawana ki “…Father ka bachcha nahin son! Father ko baap bolte hain, aur tumhara baap tumhare samne khada hai”, Amar-Akbar-Anthony ka ye dialogue yahan ghisa-pita lagta hai, jaise apne hi purane pad chuke yash-keerti ko bhunaya ja raha ho,  kuchh-ek prasangon ko chhod kar “MARD” se bahut nirasha hui. Amit ji ki fimon ke geet-sangeet bhi apni quality khote ja rahe thhe, Sw. Kishore Da, Sw. Mohd. Rafi ke nahin rahne ke karan ab Amit Ji kabhi ya toh woh khud ya Shabbir Kumar ki awaaz mein gate dikhne lage thhe, jo katai aanand-dayak nahi raha.
“AAKHIREE RASTA” 

Shuruwat mein Jaya Prada Ji aur baad mein double role mein Sridevi ke saath Amit Ji achhe lage, film chali, mujhe sentimental bana dene wala Amita Ji ka mshhoor filmy naam Vjay rahne ke karan mujhe film dekhna sahaj laga aur pasand bhi aaya.  Gaane nahin chale, yeh koi bahut badi blockbuster toh bilkul bhi nahin thi.
“SHAHENSHAH” 
aaz blockbuster kahlati hai! Kyon bhala? Ussi samay jab release hui thi toh alochakon ne isse kosno-aur-fatkaron se navaza tha. Aaz kya jadoo ho gaya!?  Badi ummeeden thi iss-liye ghan-ghor nirasha hi haath lagi…atishyoktipurn prastutui, jo aam aadmi ko Shahenshah jaise kartab kar dikhane ki soch se bhi door rakhti hai, aur sachchai se bilkul pare, kamjor samwaad/dialogue…kuchh log kah sakte hain ki “…rishte mein toh hum tumhare baap hote hain, naam hai Sahenshah!”_yhe pasand kiya gaya tha. lekin jab humlog puri mitra-mandali release ke turant baad yeh film dekh rahe thhe toh hum-mein-se kisi bhi ek ke munh se waah! nahin nikla tha, Minakshi Sheshadri ke saath Amitabh Bachchan ki jodi asamanya si lagne ke karan jami nahin, [Meenakshi Sheshadri was born on 16th November`1959. Her birth name was Shashikala Seshadri. She is from Tamil Nadu. Her father was an employee of the Sindri Fertiliser plant in Sindri, Jharkhand, India. This beauty queen was awarded Miss India in 1981 that time she was 21 years old.] “Kaalia” fame director Mr. Teenu Aanand, jo apne hasyaspad chehre ke karan baad mein acting bhi karne lage, ne kaalia ke kalpanik patr Mukhtaar Singh ko asli charecter ke roop mein pesh kar ke uski fazihat karwate hain. Amitabh Bachchan ke kirdaar ka famous aur sentimental naam VIJAY KUMAR SHRIWASTAVA rakh kar usse uski bulandiyon ka haque nahin de pate, aur unse kamjor comedy karwa kar jabaran hamen hansaane ka asafal prayaas karte hain. Film dekh kar har kisi ne, yahan tak ki mere Sw. Puj. Babuji ne bhi kaha tha ki “…ab Amita-bachan badhiya kaam naikhe kurat!”
…bass…bazar band…
****************************************
“GANGA-JAMUNA-SARASWATI”

………chhaayh! Tauba!
Kuchh kahna hi bekaar hai. Jinhone Amitabh Bachchan ko bulandiyon tak pahunchaya aur chandi kati woh hi pata nahin kyon(!)kyon(!)kyon(!) unhen(mere Shri_Big`B ko) chaupat karne par tule hue the, mere aisa kahne par mere dost iske liye Amitabh Bachchan ko hi doshi mante hain. Iss film ke Amitabh ko dekh kar sahsa vishwas nahin hota ki yahee aadmi Zanjeer, Sholay, Deewaar, Trishul, DON aur Kaala-Patthar jaisi filmon wala "Amitabh " hai ! Oh!!! Bataiye toh! ...peeth par magarmachh ko laad-baandh kar dushman ke adde mein ghusna…! Lagta hi nahin ki yeh Amitabh Bachchan ki film hai! Mere dost film beech mein hi chhod kar cinema se chale gaye, free mein VCR/video par bhi kisi ne dubara dekhne ka sahas nahi kiya.
“TOOFAAN”………chhaayh! …Tauba-Tauba!
[iss film ka poster encyclopedia mein bhi available nahin hai]
[Manmohan Desai ke bete Ketan Desai dwara nirdeshit!] Iss film ki kahani ab mujhe yaad bhi nahin. Main khul kar yeh swikaar karta hoon ki ab koi josh AMITABH BACHCHAN mujhme nahi jaga paate thhe…!
AMITABH BACHCHAN ki stardum ke bawazood tab tak ki unkki sabse jyad FLOP film release hui.
“JADUGAAR”
GOGA!!!……chhyah!  
He Bhagwaan!!!…..
…..“Zanjeer”, “Hera-Feri”, “Khoon-Paseena”, “Muquaddar ka Sikandar”, “Lawaaris”. “Namak-Halaal”, “Sharaabi”, …sabhi ke producer aur adhikansh ke khud director bhi MR. PRAKAASH MEHRA! Vishwaas nahin hota. Aisi kachra film bhagwaan dushman ko bhi na parose! Yeh film dekhne Main, Rajeev ke sath Ranchi ke Sujata cinema gaya tha, ticket khidki aaz  jaise hamara raasta dekh rahi thi,  _ hall se nikalte chand/thode se darshak galiyan bak rahe thhe, utsukta se Rajeev ne ek vyakti se poochha ki kaisi film hai? Jabab yahan likhna katthin hai, Rajeev ne mujhse kaha ki wapas chalo, lekin main umeed na haar kar film dekhna chahta tha, Rajeev chala gaya, jilm Maine akayele dekhi. Kash! Maine, Rajeev ki baat suni hoti. Amitabh Bachchan khud hi khud ka kachra kar rahe hote hain.

“MAIN AZAAD HOON”
Fir se chhyaaaah!
….. Amitabh Bachchan ki filmon ko nakara jane laga.
lgataar flops, flops, folps..!
sorry vijay, tumhara koi dosh nahi.
…jari…